Dream11 Game Kya Hai Aur Ese Kaise Khelte Hai?

Dream11 Game Kya Hai Aur Ese Kaise Khelte Hai?
Hello Dosto kaise hain aap log es post mein main aaj aap Sabko Ye Batane wala hoon ki Dream11 Game Kya Hai Aur Ese Kaise Khelte Hai? aur kaise aap es app se Ghar Baithe-Baithe  paise kama sakte hain, dosto post ko last Tak jurur Padhiyega To Chaliya start Karte Hain.

Dream11 Game Kya Hai?

Dream11 Ek Aisi app aur website hai jo logo ki Khel ki knowledge ko paise Mein Badal Deti Hai.. Dream11 app or website main aapko sign up  Karke online game khelna hota hai aur agar aap us Game ko jeet jaate hai toh aapko paise aapke account mein Milte Hain. Toh Dosto abhi taak aapne jana ki Dream11 Game Kya Hai ab mai aap sabko batane ja rha hu.

 

Dream11 Game Ko Kaise Khelte Hai?

Sabse Pehle aap ko dream 11 App download karna hoga Yeh aapko Google Play Store par nahi milega toh Main aapko batata hoon ki aap kaise dream11 app Ko download kar sakte hai, es Dream11 Game ko download karne ke liye sabse Pehle Aap Google me Dream11 likh kar search karke visit karna hoga jiske liye aap.

Google me Dream 11 likh kar Google search box me likh kar eske website se Download kar sakte hai Ya aap es diye huye link par click karke Download kar sakte hai.

 

Ab Aapko download Button par click karke es application Ko download kar lena hai aur install Karke apne mobile ke desktop par ready karna hai.Toh chaliye ab  start Karte Hai Aur samajhte Hain Ki Kis Tarah se app es application ka use Karke paise kama sakte hai..

Registration In Dream 11 App –

  • Application ko Open kijiye.
  • Applicatopen karne ke baad aapko kuch options dekhenge in options me se aapko Have a referral code?
  • Already a user? (Enn dono me se ek par click karna hai)
Isko tab karne ke baad aap naye page par pahuch Jayenge Jahan aap ko registration karna hoga, waha par aap se ek Enter invite code Mange ga jo aap ko upar Diya Gaye photo Ko Dekhkar wahan par enter karna hai.

 

Enter invite code dalne ke baad aapko Mobile Number, Email, Password dal kar Registration par enter kar dena hai.

 

Selection Of Match –

Application mai login karne ke baad aapko matches Ke list wah par dikh jayenge Jo Aane Wale Dino Mein hone wale hai. Jaise kuch matches niche picture me dikhaya gaya hai.

 

Phir aap ko us match  ka selection Karna Hai jiske baare mein aap Jante Hain aur jis par aap bet lagana chahte hai.

Creation Of Team –

Jaise hi aap team select karenge ek new tap open ho jayega select team ka jaisa picture me diya  gaya hai Yahan Par aapko wicket keeper, batsman, all rounde Ke option Milenge in options me se aapko 11 player ki team banani hogi jo aapko lagta hai ki jo players match me achha khelenge.

 

To chaliye dekhte hai ki kis tarah se aapko players ko select kerna hai.Toh pahla option aapko wicket keeper ka dikh raha hoga jis me MS Dhoni aur Shai Hope hai. Dhayan deni waali baat ye hai ki  aapko us player ko hi choice karna hai.

 

jo aapko lagta hai ki match me achha khelega. example ke liye mujhe lagta hai ki Shai Hope  achha khelenga to mai  Shai Hope  ko choice krta hu. aap kisi ko bhi choice kr sakte ho.

Choose Right Players –

Yaha Aapko 11 palyers choose karne ke liye sirf 100 points milenge in 100 me hi aap ko sabhi 11 players ko choose karna hai. To ab aap batsman option par click kariye click karte  hi aapko sabhi batsman ke naam dikh jayenge jo us match me khel sakte hai.

 

aap sirt  maximum 5 batsmen ko hi choose kr sakte ho jo aapko lagta hai ki wo match me achha dekhenge jaise maine 5 batsmen Virat Kohli, Rohit Sharma, Ambati Rayudu, Shimron Hetmyer choose kiya hai.

 

Players select karte waqt aap ko diye gaye 100 point ko Dhyan Mein Rakhna hai Kyunki aap ko in hi 100 points mein team ke 11 player ko choose karna hoga.

 

Jaise maine team ke 11 players ko choose kar liya hai to upper diye gaye photo ke bottom main aap dekh sakte hain Ki Maine Sabhi 100 points ka use Karke 11 players ko choose Kiya Hai jisme 6 Indian players hai and 5 windies s  hai.

 

Batsman choose karne ke baad aapko all rounder tab par click karna hai aur waha Diye gaye sabhi all rounders me se aapko un all rounders Ko choose Karna Hai jo aapko lagta hai ki us match me achha khelega aap niche diye gaye picture Ko Dekhkar try kar sakte hain.

 

Dream11 Use 100 Credit Points

Friends Dhayan Rakhna ki aap maximum 3 all rounder ko hi choose kar sakte hain maine sirf 1 all rounder ko hi choose Kiya Hai ho Fabian Allen hai Kyunki Mere paas man points hai. aap Diye Gaye 100 points ke hisab see apna 11 players ko choose kar sakte hain.

 

Phir aap ko bowler option par  tab Karke Diye Gaye bowlers ko select karna hai jo aapko lagta hai ki hone wale match mein Jyada wicket Le sakte hain. maine kuch bolwlers ko  select Kiye Hai Jo aap Neeche diye gaye  picture mein dekh sakte hai..

 

Maine jasprit bumrah, Kuldeep Yadav, kemar roach Khaleel Ahmed, aur Obed McCoy ko choose Kiya Hai aap Kisi bhi player ko choose kar sakte hain jo aap ke hisab se lagta hai ki wo us match mein accha khelega. aur dosto bowlers ke option mein aap sirf maximum 5 bowlers ko hi choose kar sakte hain.

Create Your Own Team –

Dosto yeah tha players ko choose karne ka process aur Dhyan Rahe dosto aapko diye 100 points ko es tarah se use krna hai ki aapko Diye Gaye Sabhi players Jaise : Wicket Keepers, Batsmen, All Rounders, aur Bowlers ko Mila kar aap ki 11 players Ki Ek Team banani chahiye.

 

Bowlers ka selection karne ke baad aapko mobile ke bottom mein aapko Next tab per click karna hai. Jaise hi aap us tab par click Karenge Ek Naya page open ho jayega Jo Kuch Is Tarah Se dikhega.

 

Yahan Par aapko captain aur vice captain ka selection karna hai Dhyan Dene Wali Baat yeh Hai zaroori nahi hai ki aap usi player ko as a captain choose kare jo us match me captaincy karne waala hai.

 

balki aap ko us player ko as a  captain choose karna hai jo aapko lagta hai ki hone waale match mein sabse accha khelega aur ussi tarah se aapko vice captain ko select karna hai.

 

Jaise Upar Diye Gaye picture mein maine Arrow Karke dikhaya hai mujhe lagta hai ki India v/s windies ke match mein Virat Kohli sabse accha khelega toh maine Virat Kohli ko captain choose Kiya Hai aur Rohit Sharma ko vice captain.

Dream11 Game Contests –

Ye pura process karne ke baad aapko “Join Contest” main Bhag lena hai wahan par aapko different different contest dikhenge jis contest main aap bhag lena Chahte Hain usko click karke usme bhag Le sakte hain.

 

Dosto mai aap ko batana Chahoonga ki ye contest kis tarah se kaam karta hai. jaise upar diye gaye photo mein aap dekh sakte hain ki Maine  3 contest par highlight Kiya Hua Hai.

 

yadi aap Pehle contest me dekhenge toh aapko dikhega ki uski entry fees 40 rupees hai aur es contest ko 6,66,666 log join kr sakta hai aur eske winner 3,30,000 log honge. Aur prize pool 2Crores hai jise sabhi jitne waale logo ko baata jayega.

 

Esi Tarah Se aap Neeche Diye Gaye 2 contest ko bhi dekh sakte hain. Lekin Dosto mai aap sabhi ko suggest karna Chahoonga ki Pehle Aap free entry fees wale contest ko kheliye aur experience Lijiye Jab aapko experience Ho Jaye tab aap paise dekar ye contest Khel sakte hain.

How to Get Dream11 Game Winning Amount –

Toh aiye Dosto Jante Hain ki aap Kis Tarah Se dream11 app me apne account se paise transfer kar sakte hain aur winning price ko Kis Tarah Se Apne account mein credit kar sakte hain.

 

 

Pehle Aap Ko app open karna hai fir mobile ke bottom mein aapko Me ka option dikhega us par click kar dena hai. fir jo page open hoga usko thora niche slide krna hai.

 

Jaisa ki aap ko Upar Diya Gaya picture mein Add Balance Dikh Raha Hoga aap uske tab Karke apne Paytm account ya debit card ka use karke dream11 app mein paise add kar sakte hain. Esi Tarah se aapke drawara jeete hue price ko withdraw tap par click Karke Apne account mein transfer kar sakte hain.

 

lekin esse Pehle Aap Ko verification process ko pura karna hoga Jab aap withdraw option ko tab Karenge Toh Wahan par email and mobile, Pan, and Bank verification ke kuch option Aayenge to aapko un options ko fill Karke verified karna hoga..

Conclusion –

Aapko in sabhi process ko pura Karke aap es game  ko enjoy kar sakte hain aur Ghar Baithe Baithe paise Kama sakte hain. Toh  dosto last but not the least khelo dimaga se… khelo khelo dimaag se.

 

To dosto Mujhe Ummid hai ki aapko ye jankari pasand aayi hogi ki Dream11 Game Kya Hai Aur Ese Kaise Khelte Hai? Aise hi jankariyon ke liye yahaa aate rhe aur agar aapko ye post achha lage to Apne Doston ke sath Share jarur karen.
Deepak Singh: नमस्ते, मेरा नाम दीपक सिंह हैं और मैं यहां सभी प्रकार की जानकारियां शेयर करता हूं। मैं यहां Latest Tech News, About Internet, Tips & Tricks और Blogging से संबंधित सभी प्रकार की जानकारियो को शेयर करता हूं, आप मुझ से किसी भी तरीके की सहायता के लिए कॉन्टैक्ट फॉर्म  के जरिए संपर्क कर सकते हैं।

View Comments (4)